gul hua ye kis ki hasti ka charagh
muddai ke ghar jala ghi ka charagh
KHair se rahta hai raushan nam-e-nek
hashr tak jalta hai neki ka charagh
wo haqiqat hai dil-e-afsurda ki
TimTimae jaise sardi ka charagh
hum se raushan hai tumhaari bazm yun
nagawara jaise garmi ka charagh
ho qanaat tujh ko to bas hai 'zahir'
KHana-arai ko damDi ka charagh
Ghazal
Gul hua ye kis ki hasti ka charagh
Zaheer Dehlvi