gul hain to aap apni hi KHushbu mein sochiye
jo kuchh bhi sochna hai wo urdu mein sochiye
dil mein agar nahin hai kisi zaKHm ki numud
surKHi kahan se aa gai aansu mein sochiye
ye masala nahin ki jalenge kahan charagh
kaise hawaen aaengi qabu mein sochiye
yun sarsari guzariye na us dasht-e-karb se
wahshat ki iztirab hai aahu mein sochiye
kuchh to KHabar nikaliye kaise laga ye rog
kyun Dhal raha hai aadmi wastu mein sochiye
ki aap ne jo pursish-e-ahwal shukriya
hum kaise honge saltanat-e-hu mein sochiye
KHud puchhti hai aap se tanhai aap ki
mahtab kyun hai raat ke pahlu mein sochiye
wo jis ka qurb aap ko milna muhaal ho
kya ho jo baiTh jae wo bazu mein sochiye
Ghazal
Gul hain to aap apni hi KHushbu mein sochiye
Zafar Sahbai