gul-ezar aur bhi yun rakhte hain rang aur namak
par mere yar ke chehre ka sa Dhang aur namak
husn us shoKH ka hai bas ki malih us ki nigah
dil pe karte hain mere kar-e-KHadang aur namak
ghuncha-e-gul mein wa bulbul mein hui be-mazagi
dekh gulshan mein dahan yar ka tang aur namak
dard-e-hijran se ba-tang aapi hun naseh se kaho
zaKHm par mere na chhiDke ye dabang aur namak
suKHan-e-waz-o-nasihat dil-e-pur-KHun ko 'huzur'
yun hai jyun shisha-e-mai ke liye sang aur namak
Ghazal
Gul-ezar aur bhi yun rakhte hain rang aur namak
Gulam Yahya Huzur Azimabadi