gul-e-suKHan se andheron mein tab-kari kar
nae sitare khila KHwab-shaar jari kar
bas ab faqir ki duniya mein aur daKHl na de
teri bisat hai dil bhar so shahr-yari kar
main karobar-e-jahan ko sameT kar aaya
bas itni der to dil ki nigah-dari kar
yahin kahin kisi lamhe mein dil bhi hai larzan
tawajjoh sare zamanon pe bari bari kar
wahi na ho ki ye sab log sans lene lagen
amir-e-shahr koi aur KHauf tari kar
ye qaht-e-nur to 'babar' KHabar nahin kab jae
so dil ke arsa-e-KHali mein KHwab-yari kar
Ghazal
Gul-e-suKHan se andheron mein tab-kari kar
Idris Babar