gul-e-KHush-numa ke libas mein ki shua-e-nur mein Dhal ke aa
tujhe DhunDh legi meri nazar tu hazar rang badal ke aa
tere dil ki aag haqiqatan tere haq mein fasl-e-bahaar hai
jo bujhae se bhi na bujh sake usi dil ki aag mein jal ke aa
teri justuju bhi hijab hai teri aarzu bhi hijab hai
kabhi dam-e-aql-o-shuur se jo nikal sake to nikal ke aa
ye hai ahl-e-zarf ki anjuman ye hai ahl-e-ishq ka mai-kada
tu hazar nashshe mein chur ho jo yahan pe aa to sambhal ke aa
mah-o-mehr mein bhi hai dilkashi magar us ki baat hai aur hi
tujhe aarzu-e-jamal hai to harim-e-naz mein chal ke aa
ye junun-e-ishq ki shan hai tujhe log kuchh bhi kaha karen
jo ata-e-ku-e-habib hai wahi KHak chehra pe mal ke aa
asar-afrin-e-bahaar hai teri fikr 'shair'-e-KHush-nawa
jinhen chhu sake na KHizan kabhi wahi phul le ke ghazal ke aa
Ghazal
Gul-e-KHush-numa ke libas mein ki shua-e-nur mein Dhal ke aa
Shaer Fatahpuri