gul bhi KHush-talat hai par ai mah tu kuchh aur hai
bas us mein aur kuchh hai tujh mein bu kuchh aur hai
kahne sunne ka nahin ye waqt ja waiz kahin
aalam-e-masti mein apni guftugu kuchh aur hai
hur-o-ghilman ki hawas kafir ho jis ko Tuk bhi ho
aashiqon ke dil ki zahid aarzu kuchh aur hai
Tokta to main nahin par in dinon nam-e-KHuda
KHub chamke ho tumhaara rang-e-ru kuchh aur hai
tasht-o-KHanjar gardan-o-sar jama hain mat der kar
qasd gar dil mein tere ai jang-ju kuchh aur hai
Ghazal
Gul bhi KHush-talat hai par ai mah tu kuchh aur hai
Miir Sher Alii Afsos