gul-ba-daman na koi shoala ba-jaan hai ab ke
chaar su waqt ki rahon mein dhuan hai ab ke
sham-e-hijran jise hathon mein liye phirti hai
kaun jaane ki wo taswir kahan hai ab ke
zindagi raat ke phaile hue sannaTe mein
dur haTte hue qadmon ka nishan hai ab ke
teri palkon pe koi KHwab larazta hoga
mere giton mein koi dard jawan hai ab ke
ek ek sans pe dhoka hai kisi aahaT ka
ek ek ghaw ujalon ki zaban hai ab ke
sahn-e-gulshan hai bahaaron ke lahu se rangin
shaKH-e-gul hai ki bas ek tegh-e-rawan hai ab ke
jo kabhi husn ke honTon pe na aaya 'jami'
hae wo harf-e-tasalli bhi garan hai ab ke
Ghazal
Gul-ba-daman na koi shoala ba-jaan hai ab ke
Khurshid Ahmad Jami