gul-afshani ke dam bharti hai chashm-e-KHun-fishan kya kya
hamare zeb-e-daman hai bahaar-e-gulsitan kya kya
kashud-e-matlab-e-ashiq ke hain lab par guman kya kya
ada-e-KHamushi mein bhar diya rang-e-bayan kya kya
faqat ek sadgi par shoKHiyon ke hain guman kya kya
nigah-e-sharmagin se hai nihan kya kya ayan kya kya
dil-e-KHun-gashta-e-hasrat ne kya kuchh gul khilae hain
bahaar-agin hai kuchh ab ki baras fasl-e-KHizan kya kiya
junun se kam nahin hai kuchh hujum-e-shadmani bhi
hawa-e-gul mein hai jame se bahar baghban kya kya
tasawwur mein visal-e-yar ke saman hote hain
hamein bhi yaad hain hasrat ki bazm-araiyan kya kya
chali aati hai itrai hui kuchh ku-e-jaanan se
basi hai rashk ki bu mein nasim-e-bostan kya kya
qadam rakhte nahin hain wo zamin par be-niyazi se
baDha jata hai yan shauq-e-sujud-e-astan kya kya
'zahir'-e-KHasta-jaan sach hai mohabbat kuchh buri shai hai
majazi mein haqiqi ke hue hain imtihan kya kya
Ghazal
Gul-afshani ke dam bharti hai chashm-e-KHun-fishan kya kya
Zaheer Dehlvi