guhar ko jauhari sarraf zar ko dekhte hain
bashar ke hain jo mubassir bashar ko dekhte hain
na KHub o zisht na aib-o-hunar ko dekhte hain
ye chiz kya hai bashar hum bashar ko dekhte hain
wo dekhen bazm mein pahle kidhar ko dekhte hain
mohabbat aaj tere hum asar ko dekhte hain
wo apni burrish-e-tegh-e-nazar ko dekhte hain
hum un ko dekhte hain aur jigar ko dekhte hain
jab apne girya o soz-e-jigar ko dekhte hain
sulagti aag mein hum KHushk-o-tar ko dekhte hain
rafiq jab mere zaKHm-e-jigar ko dekhte hain
to chaaragar unhen wo chaaragar ko dekhte hain
na tumtaraq ko ne karr-o-farr ko dekhte hain
hum aadmi ke sifat o siyar ko dekhte hain
jo raat KHwab mein us fitnagar ko dekhte hain
na puchh hum jo qayamat sahar ko dekhte hain
wo roz hum ko guzarta hai jaise id ka din
kabhi jo shakl tumhaari sahar ko dekhte hain
jahan ke aainon se dil ka aaina hai juda
is aaine mein hum aaina-gar ko dekhte hain
bana ke aaina dekhe hai pahle aaina-gar
hunar-war apne hi aib-o-hunar ko dekhte hain
Ghazal
Guhar ko jauhari sarraf zar ko dekhte hain
Sheikh Ibrahim Zauq