guftugu tark-e-KHamushi hai faqat
ham-safar ek ajnabi hai faqat
ahd-e-rafta ke walwalon ka nishan
ek musalsal si bekali hai faqat
dekhna-bhaalna gaya tere sath
aankh muddat se sochti hai faqat
har taraf ek athah sannaTa
chap apni hi gunjti hai faqat
har taraf be-panah tariki
apni aankhon ki raushni hai faqat
ajnabiyyat ke yaKH-kadon mein dost
KHud kalami pe zindagi hai faqat
hum kahan aur jawaz-e-shikwa kahan
nala izhaar-e-be-kasi hai faqat
kar hifazat mata-e-hairat ki
hasil-e-zindagi yahi hai faqat
ab dimagh-e-suKHan bhi hai kis ko
umar muddat se kaT rahi hai faqat
Ghazal
Guftugu tark-e-KHamushi hai faqat
Khursheed Rizvi