ghubar sa hai sar-e-shaKH-sar kahte hain
chala hai qafila-e-nau-bahaar kahte hain
badal gai hain jahan par wafa ki sab rasmen
ujaD gae hain dilon ke dayar kahte hain
is ek baat se gulchin ka dil dhaDakta hai
ki hum saba se hadis-e-bahaar kahte hain
ye hajw-e-mai to kisi maslahat se hai warna
faqih-e-shahr bhi hai baada-KHwar kahte hain
jise kabhi sar-e-mimbar na kah saka waiz
wo baat ahl-e-junun zer-e-dar kahte hain
'salim' saya-e-gul ho ki saKHti-e-zindan
junun hai shewa-e-mardan-e-kar kahte hain
Ghazal
Ghubar sa hai sar-e-shaKH-sar kahte hain
Asghar Saleem