اردو हिंदी
Ghubar-o-gard ne samjha hai rahnuma mujhko | Shaahi Shayari
ghubar-o-gard ne samjha hai rahnuma mujhko

Ghazal

Ghubar-o-gard ne samjha hai rahnuma mujhko

Ameeq Hanafi

;

ghubar-o-gard ne samjha hai rahnuma mujh ko
talash karta phira hai ye qafila mujh ko

tawil rah-e-safar par hain phuT phuT paDa
na kyun samajhte mere pair aabla mujh ko

shikast-e-dil ki sada hun bikhar bhi jaane de
KHutut-o-rang ki zanjir mat pinha mujh ko

zamin par hai samundar falak pe abr-e-ghubar
utarti hai kahan dekhiye hawa mujh ko

sukut tark-e-talluq ka ek garan lamha
bana gaya hai sadaon ka silsila mujh ko

wo dur dur se ab kyun mujhe jalata hai
qarib aa ke bahut jo bujha gaya mujh ko

racha ke ek tilism-e-sawabit-o-sayyar
kashish mein apni bulane laga KHala mujh ko