ghubar-e-shab zara is amr ki KHabar karna
kahan se hai mujhe ab hijr ka safar karna
ye mauj-e-baad-e-zamana hai be-lihaz bahut
tum apne apne charaghon pe ek nazar karna
raha na us ko agar mujh pe e'timad to phir
kisi hawale se kya KHud ko mo'atabar karna
duaen de ke hi karna hai ab use ruKHsat
phir apne sath jo hona hai darguzar karna
wahan wahan meri nindon ko jagta pana
jahan jahan mere hisse ki shab basar karna
hai ek KHayal makin kab se KHana-e-dil mein
zara si baat pe kya is ko dar-ba-dar karna
wo de raha tha mujhe aaj be-ghari ki dua
to yaad aaya bahut us ka dil mein ghar karna
ki mangna mera chehra jo shahr-e-be-chehra
tu apne wusat-e-daman pe ek nazar karna

Ghazal
Ghubar-e-shab zara is amr ki KHabar karna
Narjis Afroz Zaidi