اردو हिंदी
Ghubar-e-rah ke manind rahguzar mein hain | Shaahi Shayari
ghubar-e-rah ke manind rahguzar mein hain

Ghazal

Ghubar-e-rah ke manind rahguzar mein hain

Nikhat Barelvi

;

ghubar-e-rah ke manind rahguzar mein hain
hamara kya hai bhala hum bhi kis shumar mein hain

agar wo ghair ke hathon mein khelte hain to kya
hum apne aap bhi kab apne iKHtiyar mein hain

hamara aalam-e-hasrat bhi hai ajib ki hum
guzar gae hain jo din un ke intizar mein hain

zamana apni hadon se nikal ke phail gaya
aur ek hum ki abhi apne hi hisar mein hain

ye apna shahr andheron ka shahr hai shayad
baDe azab yahan raushni se pyar mein hain

wo jaan-e-bazm gaya raunaqen tamam huin
ye log kis liye baiThe hain kis KHumar mein hain

ajab fazaen hain 'nikhat' khula na kuchh hum par
ye apna ghar hai ki maidan-e-kar-zar mein hain