ghubar-e-rah-e-tilism-e-zamana ho gae hain
hum aaise log bhi aaKHir fasana ho gae hain
rahe hain raunaq-e-sad-astan wo log ki aaj
ye chand tinke jinhen aashiyana ho gae hain
jo misl-e-abr-e-bahaaran hain dusron ke liye
wo log apne liye taziyana ho gae hain
jahan pe aae the ek roz tumtaraq ke sath
ba-hasrat aaj wahan se rawana ho gae hain
to kya hui wo tamanna ki daulat-e-bedar
ki sare shauq hi rasm-e-shabana ho gae hain
wo log jin ka talabgar ek zamana tha
kisi ki sada-dili ka nishana ho gae hain
kisi ki chashm-e-taghayyur ko jin se nisbat hai
main KHush hua ki wo gham jawedana ho gae hain
ab is qadar nahin KHali hamara daman bhi
gunah hum se bhi kuchh faKHirana ho gae hain
wo aur shai hai ki jis ne ghula diya mujh ko
ki ye awariz-e-jaan to bahana ho gae hain
Ghazal
Ghubar-e-rah-e-tilism-e-zamana ho gae hain
Mubeen Mirza