ghubar-e-nur hai ya kahkashan hai ya kuchh aur
ye mere chaaron taraf aasman hai ya kuchh aur
jo dekha arsh-e-tasawwur se barha socha
ye kaenat bhi aks-e-rawan hai ya kuchh aur
main khoe jata hun tanhaiyon ki wusat mein
dar-e-KHayal dar-e-la-makan hai ya kuchh aur
firaq-e-umr ki had kyun lagai hai us ne
mera wajud hi us ko giran hai ya kuchh aur
azal se ta-ba-abad jast ek saat ki
yahi bas arsa-e-kar-e-jahan hai ya kuchh aur

Ghazal
Ghubar-e-nur hai ya kahkashan hai ya kuchh aur
Ali Akbar Abbas