ghubar-e-jahan mein chhupe ba-kamalon ki saf dekhta hun
main ahd-e-guzishta ke aashuftagan ki taraf dekhta hun
main sar ko chhupane se pahle jahan ka hadaf dekhta hun
mahakte hue nek phulon ko KHanjar-ba-kaf dekhta hun
hai andar talak ek neza gulu main kar-e-wazu mein
to is hao mein main kahan par hun kis ki taraf dekhta hun
zamane ki ghaten kitabon ki baaton ko jhuTla rahi hain
main hairat ka mara tamashai-e-iz o sharaf dekhta hun
panah mil na pai KHayal-e-KHuda mein jamal-e-KHudi mein
main is bebasi mein pareshan su-e-najaf dekhta hun
Ghazal
Ghubar-e-jahan mein chhupe ba-kamalon ki saf dekhta hun
Ain Tabish