ghubar-e-jaan se sitara nikalna chahta hai
ye aasman bhi karwaT badalna chahta hai
mere lahu ka samundar uchhalna chahta hai
ye chand mere badan mein pighalna chahta hai
siyah dasht mein imakan-e-raushni bhi nahin
magar ye hath andhere mein jalna chahta hai
har ek shaKH ke hathon mein phul mahkenge
KHizan ka peD bhi kapDe badalna chahta hai
bahut kaThin hai ki sansen bhi bar lagti hain
mera wajud bhi nuqte mein Dhalna chahta hai
Ghazal
Ghubar-e-jaan se sitara nikalna chahta hai
Jayant Parmar