ghubar-e-ishq se hasti ko bharne wala hun main
ye raushni to sar-e-chaak dharne wala hun main
KHamir-e-zauq tujhe manzilon pe laega
wufur-e-shauq mein jaan se guzarne wala hun main
KHarab karti rahin mujh ko sangaten hi teri
har ek bigaD pe samjha sanwarne wala hun main
kisi ki rae pe kab kan dharne wala hun main
ye umr apni hi dhan mein basarne wala hun main
KHud apni zat se bahar ho munqasim tum to
KHud apni zat ke andar bikharne wala hun main
kisi taraf se taraazu zarur jhukta hai so
kisi mafad mein nuqsan karne wala hun main
main apne aap ko samjha to mera KHauf gaya
ki log to ye samajhte the Darne wala hun main
na aa sakenge tere KHal-o-KHad sar-e-manzar
na canwas mein koi rang bharne wala hun main
hamein ye maut juda kar na paegi 'zishan'
wo titliyon mein gulon mein ubharne wala hun main
Ghazal
Ghubar-e-ishq se hasti ko bharne wala hun main
Zeeshaan sajid