ghubar-e-dasht-e-talab mein hain raftagan kya kya
chamak rahe hain andhere mein ustuKHwan kya kya
dikha ke hum ko hamara hi qash qash badan
dilase dete hain dekho to qatilan kya kya
ghuTi dilon ki mohabbat to shahr baDhne laga
miTe jo ghar to huwaida hue makan kya kya
palaT ke dekha to apne nishan-e-pa bhi na the
hamare sath safar mein the ham-rahan kya kya
halak-e-nala-e-shabnam zara nazar to uTha
numud karte hain aalam mein gul-ruKHan kya kya
kahin hai chand sawali kahin gada KHurshid
tumhaare dar par khaDe hain ye sailan kya kya
bichhaD ke tujh se na ji pae muKHtasar ye hai
is ek baat se nikli hai dastan kya kya
hai pur-sukun samundar magar suno to sahi
lab-e-KHamosh se kahte hain baadban kya kya
kisi ka raKHt-e-masafat tamam dhup hi dhup
kisi ke sar pe kashida hain saeban kya kya
nikal hi jaegi ek din madar se ye zamin
agarche pahre pe baiThe hain aasman kya kya
fana ki chaal ke aage kisi ki kuchh na chali
bisat-e-dahr se uTThe hisab-dan kya kya
kise KHabar hai ki 'amjad' bahaar aane tak
KHizan ne chaT liye honge gulistan kya kya
Ghazal
Ghubar-e-dasht-e-talab mein hain raftagan kya kya
Amjad Islam Amjad