ghubar abr ban gaya kamal kar diya gaya 
hari bhari ruton ko meri shaal kar diya gaya 
qadam qadam pe kasa le ke zindagi thi rah mein 
so jo bhi apne pas tha nikal kar diya gaya 
main zaKHm zaKHm ho gaya lahu wafa ko ro gaya 
laDai chhiD gai to mujh ko Dhaal kar diya gaya 
gulab-rut ki dewiyan nagar gulab kar gain 
main surKH-ru hua use bhi lal kar diya gaya 
wo zahr hai fazaon mein ki aadmi ki baat kya 
hawa ka sans lena bhi muhaal kar diya gaya
        Ghazal
Ghubar abr ban gaya kamal kar diya gaya
Ahmad Khayal

