اردو हिंदी
Goya zaban haal thi sahir KHamosh tha | Shaahi Shayari
goya zaban haal thi sahir KHamosh tha

Ghazal

Goya zaban haal thi sahir KHamosh tha

Sahir dehlavi

;

goya zaban haal thi 'sahir' KHamosh tha
ye sai-e-zabt thi wo taqaza-e-josh josh tha

parde mein lan-tarani thi rag rag mein josh tha
chamki jo barq husn na main tha na hosh tha

mai-KHana-e-KHayal mein masti ka josh tha
gul tha charagh-e-aql mein gum-karda hosh tha

be-harf-o-saut tha mera nazara-o-kalam
raaz-o-niyaz be-asar chashm-o-gosh tha

kaifiyaten hain kuchh mujhe josh-e-junun ki yaad
baiTha jo koi nish-e-rag-e-jaan mein nosh tha

tere qatil-e-ghamza ko tan tha wabaal-e-jaan
tere shahid-e-naz ko sarbar dosh tha

dil kan-e-marifat ka tha ek jauhar-e-latif
go unsuri wajud mein ye KHak posh tha

kya mastiyan thin shab nigah-e-mast-e-naz se
saqi ba-ghamza bughcha-e-mai-farosh tha

mina ne gosh-e-jam mein jhuk kar kaha ye raaz
haq haq-e-nawed-e-wasl-o-payam-e-sarosh tha

kya kya thin husn-o-ishq mein baham ishaaraten
tha koi saKHt gir koi saKHt kosh tha

sarf-e-nazara chashm thi waqf-e-kalam-e-gosh
dil jalwa-mast aur lab-e-'sahir' KHamosh tha