goya chaman chaman na tha
aisa ujaD ban na tha
KHun se tar rawish rawish
rang-e-gul-o-saman na tha
KHar-e-alam se tar tar
kaun sa pairahan na tha
sikka-e-dil KHarab-haal
us ka kahin chalan na tha
aaj agar guzar gaya
kal ka koi jatan na tha
bazm-e-adab bhi dam-ba-KHud
kahne ko kuchh suKHan na tha
nasr tamam tar fuzul
sher asar-e-fagan na tha

Ghazal
Goya chaman chaman na tha
Abu Mohammad Sahar