goshe badal badal ke har ek raat kaT di
kachche makan mein ab ke bhi barsat kaT di
wo sar bhi kaT deta to hota na kuchh malal
afsos ye hai us ne meri baat kaT di
dil bhi lahuluhan hai aankhen bhi hain udas
shayad ana ne shah-rag-e-jazbaat kaT di
jab bhi hamein charagh mayassar na aa saka
suraj ke zikr se shab-e-zulmat kaT di
jadugari ka khel adhura hi rah gaya
darwesh ne shabih-e-tilismat kaT di
haalanki hum mile the baDi muddaton ke baad
auqat ki kami ne mulaqat kaT di
ThanDi hawaen mahki faza narm chandni
shab to bas ek thi jo tere sat kaT di
Ghazal
Goshe badal badal ke har ek raat kaT di
Tahir Faraz