اردو हिंदी
Gosh kar fariyaad-e-ashiq jaan kar | Shaahi Shayari
gosh kar fariyaad-e-ashiq jaan kar

Ghazal

Gosh kar fariyaad-e-ashiq jaan kar

Shad Lakhnavi

;

gosh kar fariyaad-e-ashiq jaan kar
nala-e-bulbul pe ai gul kan kar

jab badal kapDe kafan ka dhyan kar
ghusl-e-mayyat jaan jab ashnan kar

khaal mujh mahw-e-mizha ki jaan kar
rakh diya chhalni ka sina chhan kar

miT gae us ki chaqon ko dekh kar
bulbule ubhre jo sina tan kar

saKHt-jaan wo hun jo ho mujh par rawan
aslahe rah jaen loha man kar

aag mein apne misal-e-shama jal
par zaban se uf na ai nadan kar

nashtar-e-mizhgan ho bundi ki kaTar
bund-bar pani pila ehsan kar

ai dur-e-yakta janab-e-KHizr ne
ek mujhe paya zamana chhan kar

jism-zar-e-qais ka puchha jo haal
rakh diya makDi ne jala tan kar

gham gunahon ka na kha 'shad'-e-hazin
rahmatul-lilalamin par dhyan kar