اردو हिंदी
Goriyon kaliyon ne mar diya | Shaahi Shayari
goriyon kaliyon ne mar diya

Ghazal

Goriyon kaliyon ne mar diya

Abdul Hamid Adam

;

goriyon kaliyon ne mar diya
jamunon waliyon ne mar diya

ang hain ya rikabiyan dhan ki
mohni thaaliyon ne mar diya

gungunate hasin kanon ki
Dolti baaliyon ne mar diya

ude ude sahab se aanchal
rang ki jaliyon ne mar diya

zulf ki nikhaton ne jaan le li
honT ki laliyon ne mar diya

uff wo pyase moazzezin jinhen
ras-bhari galiyon ne mar diya

jhumti Daliyon se jism 'adam'
jhumti Daliyon ne mar diya