اردو हिंदी
Gore gore chand se munh par kali kali aankhen hain | Shaahi Shayari
gore gore chand se munh par kali kali aankhen hain

Ghazal

Gore gore chand se munh par kali kali aankhen hain

Arzoo Lakhnavi

;

gore gore chand se munh par kali kali aankhen hain
dekh ke jin ko nind aa jae wo matwali aankhen hain

munh se palla kya sarkana is baadal mein bijli hai
sujhti hai aisi hi nahin jo phuTne wali aankhen hain

chah ne andha kar rakkha hai aur nahin to dekhne mein
aankhen aankhen sab hain barabar kaun nirali aankhen hain

be jis ke andher hai sab kuchh aisi baat hai us mein kya
ji ka hai ye bawla-pan ya bholi-bhaali aankhen hain

'arzu' ab bhi khoTe khare ko kar ke alag hi rakh dengi
un ki parakh ka kya kahna hai jo Teksali aankhen hain