اردو हिंदी
Gor mein yaad-e-qad-e-yar ne sone na diya | Shaahi Shayari
gor mein yaad-e-qad-e-yar ne sone na diya

Ghazal

Gor mein yaad-e-qad-e-yar ne sone na diya

Shefta Mustafa Khan

;

gor mein yaad-e-qad-e-yar ne sone na diya
fitna-e-hashr ko raftar ne sone na diya

wah ai tala-e-KHufta ki shab-e-aish mein bhi
wahm-e-be-KHwabi-e-aghyar ne sone na diya

wa rahin surat-e-aghosh sahar tak aankhen
shauq-e-ham-KHwabi-e-dildar ne sone na diya

yas se aankh bhi jhapki to tawaqqo se khuli
subh tak wada-e-didar ne sone na diya

tala-e-KHufta ki tarif kahan tak kije
panw ko bhi KHalish-e-KHar ne sone na diya

dard-e-dil se jo kaha nind na aai to kaha
mujh ko kab nargis-e-bimar ne sone na diya

shab-e-hijran ne kaha qissa-e-gesu-e-daraaz
'shefta' ko bhi dil-e-zar ne sone na diya