go ye rakhti nahin insan ki haalat achchhi
phir bhi sau kaam se duniya ke mohabbat achchhi
kya wo achchha hai agar sirf hai surat achchhi
surat achchhi jo KHuda de to ho sirat achchhi
wasl mein ye jo hun bebak to nikle matlab
aise mauqe pe hasinon ki shararat achchhi
jis mein shoKHi na shararat na karishma na ada
aise mashuq se miTTi ki hai murat achchhi
dost un ka jo hai barbaad to dushman hai KHarab
lutf achchha na hasinon ki adawat achchhi
shikwa wo KHub hai jis se ho lagawaT zahir
shukr ka jis mein ho pahlu wo shikayat achchhi
na hui qadr muqaddar ki burai se 'hafiz'
kya hua aap ne pai jo tabiat achchhi
Ghazal
Go ye rakhti nahin insan ki haalat achchhi
Hafeez Jaunpuri