go wasia sahra mein ek haqir zarra hun
rah-rawi mein sarsar hun raqs mein bagula hun
har samudr-manthan se zahr hi nikalta hai
main ye zahr jiwan ka hans ke pi bhi sakta hun
ye bhari-puri dharti ek anant mela hai
aur sare mele mein jaise main akela hun
yun to phul phabta hai har hasin joDe par
jis ne chun liya mujh ko main usi ka bela hun
kal har ek jalwe mein lakh jalwe paida the
main ki tha tamashai aaj KHud tamasha hun
zindagi ke raston par zaKHm-KHurda diwana
kah raha tha 'zaidi' se main bhi aap jaisa hun
Ghazal
Go wasia sahra mein ek haqir zarra hun
Ali Jawwad Zaidi