go teri zulfon ka zindani hun main
bhul mat jaana ki sailani hun main
zindagi ki qaid koi qaid hai
sukhte talab ka pani hun main
chandni raaton mein yaron ke baghair
chandni raaton ki virani hun main
jis qadar maujud hun mafqud hun
jis qadar ghaeb hun lafani hun main
mujh ko tanhai mein sunna baiTh kar
mutrib-e-lamhat-e-wajdani hun main
jis qadar karta hun andesha 'adam'
us qadar taswir-e-hairani hun main
aql se kya kaam mujh nachiz ka
ek mamuli si nadani hun main
hun agar to hun bhi kya is ke siwa
qimti wirse ki arzani hun main
dil ki dhaDkan baDhti jati hai 'adam'
kis hasin ke zer-e-nigrani hun main
Ghazal
Go teri zulfon ka zindani hun main
Abdul Hamid Adam