go tahi-daman hun lekin gham nahin
tere daman ka sahaara kam nahin
aaj hi ye baat ai hamdam nahin
ek muddat se koi aalam nahin
juz tere dil mein kisi ka gham nahin
tujh se itna rabta bhi kam nahin
jab qadam uTThe to rukte hain kahin
aaj manzil hi nahin ya hum nahin
aankh hum aashufta-haalon se milae
gardish-e-dauran mein itna dam nahin
donon aalam bhi muKHalif hon to kya
mutmain hun main ki tu barham nahin
dil mein itni bas chuki hai un ki yaad
wo bhula bhi den to koi gham nahin
hum se puchho zabt-e-gham ki lazzaten
rone walon ko shuur-e-gham nahin
hum se wo tark-e-talluq kar chuke
aur phir un ki mohabbat kam nahin
apne apne gham mein hai har aadmi
aadmi ko aadmi ka gham nahin
ahrman apni jagah hai ahrman
fitrat-e-insan bhi lekin kam nahin
gham hai is duniya mein jaan-e-zindagi
zindagi mein gham na ho to hum nahin
aah anjam-e-gham-e-dil ai 'shamim'
ro raha hun aur aankhen nam nahin
Ghazal
Go tahi-daman hun lekin gham nahin
Shamim Jaipuri