go sudh nahin us shoKH sitamgar ne sambhaali
tis par bhi koi baat ada se nahin KHali
kuchh hosh nahin mujh mein raha jab se pilai
us nargis-e-maKHmur ki saqi ne pyali
shabnam ke araq mein hua KHajlat siti gul-e-tar
dekhi jo lab-e-lal ki us shoKH ke lali
we ghair hi hain jin ki har ek baat ho sunte
hum ne to jo kuchh arz ki so sunte hi Tali
tausif koi kar sake kya ai 'shah-e-alam'
rutba hai tere sher ka guftar se aali
Ghazal
Go sudh nahin us shoKH sitamgar ne sambhaali
Aftab Shah Alam Sani