go siyah-baKHt hun par yar lubha leta hai
shakl saya ke mujhe sath laga leta hai
go mulaqat nahin aalam-e-bedari mein
KHwab mein par wo hamein sath sula leta hai
ashk ko Tuk bun-e-mizhgan mein Thaharne de dila
ye tera dekh to han dekh to kya leta hai
rahi-e-mulk-e-adam se na kar itni kawish
dam musafir ye tah-e-naKhl zara leta hai
shisha-e-dil mein mere tere KHayal-e-KHat se
aa gaya baal hai to mol use kya leta hai
ye masal ai but-e-mai-nosh suni hai ki nahin
le hai bartan jo koi us ko baja leta hai
tu wo hai nam-e-KHuda ai but-e-kafir ki tere
zahid-e-gosha-nashin bhi qadam aa leta hai
dil pe talwar si kuchh lagti hai jab ghair ko tu
pas abru ke ishaare se bula leta hai
kyun na phule dil-e-sad-chaak hamara yaro
gul samajh kar wo use sar pe chaDha leta hai
mauj-e-dariya to kab aTkheli se yun chalti hai
par teri kabk-e-dari chaal uDa leta hai
zulf-e-mushkin ko na chheD us ki dila man kaha
apne kyun sar pe bala ahl-e-KHata leta hai
huk si uThti hai kuchh dil mein mere aah 'nasir'
jab wo pahlu mein raqibon ko biTha leta hai
Ghazal
Go siyah-baKHt hun par yar lubha leta hai
Shah Naseer