اردو हिंदी
Go sab ko baham saghar o baada to nahin tha | Shaahi Shayari
go sab ko baham saghar o baada to nahin tha

Ghazal

Go sab ko baham saghar o baada to nahin tha

Faiz Ahmad Faiz

;

go sab ko baham saghar o baada to nahin tha
ye shahr udas itna ziyaada to nahin tha

galiyon mein phira karte the do chaar diwane
har shaKHs ka sad chaak labaada to nahin tha

manzil ko na pahchane rah-e-ishq ka rahi
nadan hi sahi aisa bhi sada to nahin tha

thak kar yunhi pal bhar ke liye aankh lagi thi
so kar hi na uTThen ye irada to nahin tha

waiz se rah-o-rasm rahi rind se sohbat
farq in mein koi itna ziyaada to nahin tha