go raat meri subh ki mahram to nahin hai
suraj se tera rang-e-hina kam to nahin hai
kuchh zaKHm hi khaen chalo kuchh gul hi khilaen
har-chand bahaaran ka ye mausam to nahin hai
chahe wo kisi ka ho lahu daman-e-gul par
sayyaad ye kal raat ki shabnam to nahin hai
itni bhi hamein bandish-e-gham kab thi gawara
parde mein teri kakul-e-pur-KHam to nahin hai
ab kargah-e-dahr mein lagta hai bahut dil
ai dost kahin ye bhi tera gham to nahin hai
sahra mein bagula bhi hai 'majruh' saba bhi
hum sa koi aawara-e-alam to nahin hai
Ghazal
Go raat meri subh ki mahram to nahin hai
Majrooh Sultanpuri