go nazar aksar wo husn-e-la-zawal aa jaega
rah mein lekin sarab-e-mah-o-sal aa jaega
ya shikan-alud ho jaegi manzar ki jabin
ya hamari aankh ke shishe mein baal aa jaega
ret par surat-gari karti hai kya baad-e-junub
koi dam mein mauja-e-baad-e-shimal aa jaega
dosto meri tabiat ka bharosa kuchh nahin
hanste hanste aankh mein rang-e-malal aa jaega
jaane kis din hath se rakh dunga duniya ki zamam
jaane kis din tark-e-duniya ka KHayal aa jaega
hadsa ye hai ki sari zillaton ke bawajud
rafta rafta zaKHm su-e-indimal aa jaega
Ghazal
Go nazar aksar wo husn-e-la-zawal aa jaega
Khursheed Rizvi