اردو हिंदी
Go mubtala-e-gardish-e-sham-o-sahar hun main | Shaahi Shayari
go mubtala-e-gardish-e-sham-o-sahar hun main

Ghazal

Go mubtala-e-gardish-e-sham-o-sahar hun main

Zahid Chaudhry

;

go mubtala-e-gardish-e-sham-o-sahar hun main
phir bhi dayar-e-ishq mein chiz-e-digar hun main

main chahta hun jis ko wo dilbar tum hi to ho
tum DhunDte ho jis ko wo ahl-e-nazar hun main

pir-e-haram ka qaul hai main shab-gazida hun
pir-e-mughan ki rae mein nur-e-sahar hun main

ahl-e-chaman ki kashmakash-e-rozgar ki
tariki-e-hayat mein misl-e-qamar hun main

raushan mere wajud se sarw-o-saman hue
sehn-e-chaman ke waste nur-e-sahar hun main

main manta nahin ki wo ghaflat-shiar hai
rasm-e-wafa ke zer-e-asar kis qadar hun main

ummid kar raha hun main takmil-e-shauq ki
kis ko bataun kis qadar aashufta-sar hun main

go main rah-e-hayat mein be-dast-o-pa hua
phir bhi muhit-e-ishq mein mahw-e-safar hun main

mera muqabla nahin parwaz-e-fikr mein
haalanki josh-e-ishq mein be-baal-o-par hun main

arz-o-sama ke raaz-e-darun se hun aashna
goya sharik-e-mahfil-e-shams-o-qamar hun main

mujh ko KHabar hai kya hai pas-e-parda-e-namaz
go shaiKH ka KHayal hai ki be-KHabar hun main