go ki mohtaj hain gada hain hum
be-niyazi ke baadsha hain hum
chashm-e-tahqir se hamein mat dekh
KHak to hain pe tutiya hain hum
aah is umr-e-be-baqa ki tarah
rahraw-e-kishwar-e-fana hain hum
aisa be-barg o be-nawahi kaun
jaise be-barg o be-nawa hain hum
go hamein tu kabhi na yaad kare
par teri yaad mein sada hain hum
mubtala us bala mein koi na ho
jis bala mein ki mubtala hain hum
mar kar bhi hamin pe pachhtaya
be-wafa tu ki be-wafa hain hum
jabha-sai se dushmani hai jise
usi ke dar pe jabha-sa hain hum
kaun rahbar ho ishq ki rah mein
aap hi apne rahnuma hain hum
hain to surat-parast aaina-dar
nek mani se aashna hain hum
aur diwana kaun hai 'joshish'
ya diwana tha qais ya hain hum
Ghazal
Go ki mohtaj hain gada hain hum
Joshish Azimabadi