go jam mera zahr se labrez bahut hai
kya jaaniye kyun pine se parhez bahut hai
show-case mein rakkha hua aurat ka jo but hai
gunga hi sahi phir bhi dil-awez bahut hai
ashaar ke phulon se ladi shaKH-e-tamanna
miTTi mere ehsas ki zarKHez bahut hai
khul jata hai tanhai mein malbus ki manind
wo rashk-e-gul-e-tar ki kam-amez bahut hai
mausam ka taqaza hai ki lazzat ka badan chum
KHwahish ke daraKHton mein hawa tez bahut hai
aaankhon mein liye phirta hai KHwabon ke jazire
wo shair-e-ashufta jo shab-KHez bahut hai
Ghazal
Go jam mera zahr se labrez bahut hai
Krishn Adeeb