اردو हिंदी
Go is safar mein thak ke badan chur ho gaya | Shaahi Shayari
go is safar mein thak ke badan chur ho gaya

Ghazal

Go is safar mein thak ke badan chur ho gaya

Farrukh Jafari

;

go is safar mein thak ke badan chur ho gaya
main us ki dastaras se magar dur ho gaya

ab us ka nam le ke pukaren use kahan
sahra bhi ab to KHalq se mamur ho gaya

kyun us ne hath khinch liya mere qatl se
kyun mujh pe rahm kha ke wo maghrur ho gaya

sab apne apne ghar mein nazar-band ho gae
ab shahr pur-sukun hai mashhur ho gaya

qismat ne la ke us ko khaDa kar diya kahan
aaina dekhne pe wo majbur ho gaya