go husn ki surat hain meri samt rawan bhi
ek KHwab si lagti hain mujhe raushaniyan bhi
kuchh apni kaho Dubte taron ko na dekho
shayad na mile phir ye nashat-e-guzaran bhi
socha tha ki luTun teri furqat ke KHazine
dekha na gaya tere bichhaDne ka saman bhi
kuchh dil bhi hai mera gham-e-ayyam se bojhal
kuchh sham ki dahliz se uThta hai dhuan bhi
kis ajnabi rah-raw ke taaqub mein chala hai
paega na tu ret pe qadmon ke nishan bhi
karta hun kabhi chashm-e-taKHayyul se nazara
hota hai kabhi tujh pe mohabbat ka guman bhi
tu hasil-e-manzil bhi mera rah-numa bhi
tu mujh se gurezan bhi qarib-e-rag-e-jaan bhi
Ghazal
Go husn ki surat hain meri samt rawan bhi
Jameel Yusuf