go dur ho chuka hun yaran-e-anjuman se
lekin mafar nahin hai ehsas ki chubhan se
husn-e-nazar ka jadu sar chaDh ke bolta hai
asnam-e-marmarin bhi lagte hain sim-tan se
ghuncha hi phul ban kar jaan-e-chaman hua hai
main ne yaqin ki daulat pai hai husn-e-zan se
aaj un ke raston mein kanTe bichhe hue hain
kal tak jo khelte the rangini-e-chaman se
jaise chaman se nikhat jaise sadaf se moti
aise juda hua hun main jannat-e-watan se
main raaz-e-rang-o-bu se na-ashna nahin hun
mujh ko gila bhi kab hai phulon ki anjuman se
meri ghazal 'uruj' ek taswir-e-asr-e-nau hai
main ne use sanwara tahzib-e-fikr-o-fan se
Ghazal
Go dur ho chuka hun yaran-e-anjuman se
Urooj Zaidi Badayuni