اردو हिंदी
Go ba-nam ek zaban rakhti hai shama | Shaahi Shayari
go ba-nam ek zaban rakhti hai shama

Ghazal

Go ba-nam ek zaban rakhti hai shama

Qayem Chandpuri

;

go ba-nam ek zaban rakhti hai shama
kab tera sa bayan rakhti hai shama

tere mukhDe ka sa namak malum
ek phiki si aan rakhti hai shama

sarfaroshi ke muKHtara hum hain
go ab unchi dukan rakhti hai shama

dagh par dagh uThae dil ki tarah
kab ye tab-o-tawan rakhti hai shama

rowe go tuda tuda kab aise
dida-e-KHun-fishan rakhti hai shama

aah is dagh-e-dil se jis se ki dast
nit su-e-asman rakhti hai shama

kyunki parwana rashk se na jale
sab ke aage fulan rakhti hai shama

khol mukhDa ki hai ye mujh ko yaqin
tujh se dawa guman rakhti hai shama

ye dil afsurda wae qismat-e-bad
soz ta-ustuKHwan rakhti hai shama

raaton jagi hai misl 'qaem' ki
tab ye soz-e-nihan rakhti hai shama