girya-zari bhi karun shor machaun main bhi
haalat haal-e-parindon ko sunaun main bhi
zindagi roz naya rup dikhati hai mujhe
arsa-e-jism kabhi chhoD ke jaun main bhi
hazrat-e-qais agar aap ijazat de den
kabhi wahshat ke liye dasht mein aaun main bhi
sare mahaul ko de dun kisi tabir ka wajd
apni masti mein koi KHwab sunaun main bhi
main koi ishq karun haar ke jita hua ishq
yani ushshaq mein kuchh nam kamaun main bhi
aaj tanhai ke manzar ne sujhaya hai 'said'
mausam-e-hijr ki taswir banaun main bhi
Ghazal
Girya-zari bhi karun shor machaun main bhi
Mubashshir Saeed