girya to aksar raha paiham raha
phir bhi dil ke bojh se kuchh kam raha
qumqume jalte rahe bujhte rahe
raat-bhar sine mein ek aalam raha
us wafa-dushman se chhuT jaane ke baad
KHud ko pa lene ka kitna gham raha
apni haalat par hansi bhi aai thi
is hansi ka bhi baDa matam raha
itne rabt itni shanasai ke baad
kaun kis ke haal ka mahram raha
pattharon se bhi nikal aaya jo tir
wo mere pahlu mein aa kar jam raha
zehn ne kya kuchh na koshish ki magar
dil ki gahrai mein ek aadam raha

Ghazal
Girya to aksar raha paiham raha
Mustafa Zaidi