اردو हिंदी
Girya, mayusi, gham-e-tark-e-wafa kuchh na raha | Shaahi Shayari
girya, mayusi, gham-e-tark-e-wafa kuchh na raha

Ghazal

Girya, mayusi, gham-e-tark-e-wafa kuchh na raha

Kishwar Naheed

;

girya, mayusi, gham-e-tark-e-wafa kuchh na raha
zindagi rah gai jine ka maza kuchh na raha

raushni thi to har ek shai ki haqiqat thi ayan
tirgi mein meri aankhon ke siwa kuchh na raha

pairahan rang birange nikal aae itne
nau-damida gul-e-shabbu mein chhupa kuchh na raha

kha gai KHak ko hi KHak karen kisi se gila
kya kureden ki tah-e-KHak chhapa kuchh na raha

tere milne ke Dhang bhi taslim magar
zaiqa is tarah badla ki maza kuchh na raha

kyun na ho hashr bapa dad-e-wafa kyun na mile
jab tere chahne walon ke siwa kuchh na raha

kyun na mehmanon ke kamre mein sajaen in ko
ilm ka nam kitabon ke siwa kuchh na raha

KHushbu-e-wasl tawajjoh ka wo aalam wo KHulus
Dubte chand ki aaghosh mein kya kuchh na raha