girya-e-shab ki shahadat ke liye jagte hain
ye sitare koi saat ke liye jagte hain
KHauf aisa hai ki hum band makanon mein bhi
sone walon ki hifazat ke liye jagte hain
umr guzri hai teri sajda-wari mein lekin
aaj hum apni ibaadat ke liye jagte hain
pahle hum karte hain taswir mein uryan tera KHwab
aur phir us ki hifazat ke liye jagte hain
lafz-dar-lafz paDha karte hain teri surat
raat-bhar teri tilawat ke liye jagte hain
Ghazal
Girya-e-shab ki shahadat ke liye jagte hain
Azhar Naqvi