girya dil ko na su-e-chashm bahao
Dubti hai bhanwar mein ja kar naw
na gali apni wan kabhi khichDi
nit pakate rahe KHayali polaw
dil hai ai nala jun kabab-e-waraq
aanch kam de ye kha na jae taw
bosa lete mein kaT khate ho
kya tumhaara bura paDa hai subhaw
ji pe yan ban rahi hai ye to kaho
aaj kidhar chale ho kar ke banaw
kyun ke rakhkhun qadam gali mein teri
wan to paDta nahin hai apna hawaw
aatish-e-meada ko nahin seri
jun jahannam kare hai law hi law
dil jo main gum kiya to tum ko kya
yaro is baat ka karo na chuwaw
thi shab-e-wasl par KHayal ke sath
hum ne dil se nikale kya kya chao
dah-e-dil hai talluqe mein tere
KHwah ujaD kar is ko KHwah basao
marham-e-lutf munh na moDiyo to
abhi aale hain sab jigar ke ghao
ye zamin bhi hai turfa mani-KHez
'mushafi' ek ghazal to aur sunao
Ghazal
Girya dil ko na su-e-chashm bahao
Mushafi Ghulam Hamdani

