اردو हिंदी
Girte ubharte Dubte dhaare se kaT gaya | Shaahi Shayari
girte ubharte Dubte dhaare se kaT gaya

Ghazal

Girte ubharte Dubte dhaare se kaT gaya

Arman Najmi

;

girte ubharte Dubte dhaare se kaT gaya
dariya simaT ke apne kinare se kaT gaya

mausam ke sard-o-garm ishaare se kaT gaya
zaKHmi wajud waqt ke dhaare se kaT gaya

kya farq us ko jaD se ukhaDa gaya jise
TukDe kiya tabar ne ki aare se kaT gaya

tanhai ham-kanar hai sahra ki raat-bhar
kaise main apne chand sitare se kaT gaya

chalta hai apne panw pe ab aan-ban se
achchha hua wo jhuTe sahaare se kaT gaya

diwaren unchi hoti gain aas-pas ki
ghar mera pesh-o-pas ke nazare se kaT gaya

nikla tha ek qadam hi had-e-ehtiyat se
shoalon se bachne wala sharare se kaT gaya

aata nahin yaqin ki nazar us ne pher li
kaise wo apne dard ke mare se kaT gaya